Doston aaj main aapko sky moon background & Sky birds fly video edit karke dikhane wala hun jaisa upar wale video mein hai
- How to make sky moon background video
- Sky moon background video
- Instagram reels video editing
- Reels video editing
- Moon png download
- Sky replacement video editing
- Sky change video editing
- How to make sky change video
- Aasman kaise badle
- Video sky change editing
HOW TO SHOOT
Doston aisa video edit karne ke liye aapko kisi unchi jagah per jana hoga apne phone ko aapko tripod per Mount kijiega aur niche jaisa maine video per dikhaya hai is tarah se aap apna video ko shoot kar lijiyega.
HOW TO EDIT
Video ko edit karne ke liye aapko kinemaster app ko open karna hoga agar aapke phone mein kinemaster app pahle se install Hai to acchi baat hai varna aapko is post per kinemaster ka link mil jaega aap load kar lijiyega.
Kinemaster ko open karke aapko is post per ek background ka link milega aapko use wale background ko add karna hoga.
Abhi aapko background ka jo duration hai 15 second ke liye aap kar dijiyega.Ab aapko moon PNG ko select karna hoga uske liye aap layer mein click karke media mein jakar moon ke PNG ko aap add kar lijiyega moon ke PNG ka link aapko is post per mil jaega aap load kar lijiyega.
Moon PNG ko aapko adjust karna hoga adjust karne ke bad moon ke PNG ka jo duration Hai jitna aapke background photo ka duration hoga utna aap kar lijiyega.
Abhi aapko layer per click karke media mein jakar birds fly ka jo green screen wala video hai use Wale video ko aap select kijiega video ko select karne ke bad video ko full screen mein adjust kijiega ab green screen ko remove karne ke liye aapko chroma key mein click karke aap video ka jo background aap remove kar dijiyega
Final step Mein layer mein click karke media mein jakar aapko apna recording kiya hua video ko select karna hoga video ko pahle full screen Mein adjust kijiega adjust karne ke bad aapko adjustment wale option per Jana hoga brightness -100 contrast +100 aur saturation -100 karke aapko okay press kar lena hoga ab aapko blending wala option mein jakar aap hard light ko select kar lijiyega finally aapka jo video hai ready ho jaega.