Doston aaj main aapko soul out video edit karke dikhane wala hun jaisa upar wale video mein hai.
HOW TO SHOOT
Doston aisa video edit karne ke liye aapko main jaisa niche video mein dikhaya hun is prakar se aap apna ek video ko shoot kar lijiyega.
HOW TO EDIT
Video ko edit karne ke liye aapko kinemaster app ko open karna hoga agar aapke phone mein kinemaster app pahle se install hai to acchi baat hai varna aapko is post per link mil jaega aap load kar lijiyega.
Abhi aapko kinemaster app ke andar apna recording Kiya hua video ko select karna hoga.
Video ko select kar lene ke bad video ko aapko play karna hoga aur video mein Jahan per aap freeze ho ja rahe ho use jagah per jakar aap apne video per click karke kainchi wale option mein jakar split kar lijiyega uske bad aapko wapas se video ko play karna hoga aur gais Jahan se aap wapas se movement kar rahe ho matlab uth rahe ho use jagah per jakar split aapko kar lena hai.
Aap Jo part aapane split kiya hai use wale part per click karna hoga aur left side ke three dot per click karke duplicate as layer aap kar lijiyega aur jo duplicate aapane banaya hai usko pakad ke aap Jahan se freez ho ja rahe ho vahan se aapko add kar dena hoga aur main file ko aap delete karke hata dijiyega.
Abhi wapas se duplicate kiye hue file per click karna hoga aur right side mein jakar aap video ka opacity ko 50% kar dijiyega.
abhi aapko main file per click karna hai three dot per click karke duplicate aapka lijiyega sabse pahle aapko video ko full screen mein kar lena hoga uske bad aap magic remover wale option per jakar video ka background ka remove kar dijiyega abhi aapko video mein audio ko add karna hai uske liye aapko layer per click karna hai media wale option mein
background video ko aapko add karna hoga background video ka link aapko is post per mil jaega video add Ho jaane ke bad aapko right side mein extract audio ka option dikhega jis per click karke aap audio ko alag kar lijiyega aur video ko delete kar lijayega finally aapka Jo video hai ready ho jaega.