- How to make page curl video
- How to make photo scroll video
- How to make paper scroll video
- Photo scroll video editing
- Page curl effect in alight motion
- Alight motion video editing
- Alight motion page curl effect
- How to use page curl effect in alight motion
- Instagram reels video editing
- Reels video editing
Doston aaj main aapko page curl video edit karke dikhane wala hun ya fir aap bol sakte ho photo scroll video edit karke dikhane wala hun jaisa upar wale video mein hai.
REQUIRMENT
Doston Aisa video edit karne ke liye aapko bas ek photo ka jarurat padane wala hai jo aapke gallery main obviously hoga usi Ka use karke aaj ka jo video hai main aapke liye edit karke dikhaunga.
HOW TO EDIT
Doston Aisa video edit karne ke liye aapko sabse pahle pixellab app ko open karna hoga agar aapke phone mein pixellab app pahle se install hai to acchi baat hai varna aapko is post per link mil jaega aapko load kar lena hoga.
Abhi aapko pixellab app ko open karna hoga open karne ke bad aapko sabse pahle Ek black color ka background select karna hoga ab aap background ka jo size hai aapko 1440 * 2560 karna hoga.
Ab aapko Plus ke icon per click karna hoga from gallery wale option mein jakar aapko ek photo ko select kar lena hai photo ko select karne ke bad photo ka aspect ratio 1:1 rakhiega rakhne ke bad aapko add kar lena hoga aur photo ko adjust kar lijiyega.
Abhi aapko wapas se plus ke icon per click karna hoga text ke option per aap click kar lijiyega aur jo maine hindi mein text likha hai is wale text ko aapko add kar dena hoga jaisa niche photo mein hai text ko add karne ke bad text mein aap shadow bhi dal lijiyega.
Agale step mein wapas se aapko plus ke icon per click karke jo maine emoji add kiya hai text per click karke aap emoji sabko add kar lijiyega aur emoji mein aapko shadow dal dijiyega.
Ab photo ko aapko save wale option per click karke apne gallery mein save kar lena hoga.Is tarah se aapka jo photo hai ready ho jaega aur aapka step 1 ka jo kam hai vah bhi complete ho jaega.
2ND STEP
aapko alight motion app ko open karna hoga agar aapke phone mein alight motion app pahle se install Hai to acchi baat hai varna aapko is post per link mil jaega aap load kar lijiyega.
Ab aapko alight motion ko open karna hoga aur niche photo mein jaisa maine Rakha Hai same to same aap rakh lijiyega.
Ab aapko alight motion ke andar aapko apna photo ko add karna hai uske liye aapko Plus ke icon per click karna hoga media wale option mein jakar apni photo ko aap select kar lijiyega photo ko select karne ke bad aapko video mein audio ko add karna hai uske liye aapko wapas se Plus ke icon per click karna hoga audio wale option mein jakar aapko is post per audio ka link mil jaega aap audio ko load karke add kar lijiyega ab jitna aapka audio ka duration hoga aapke photo ka duration ko bhi utna hi kar lijiyega.
Abhi aapko apni photo per click karna hoga effect wale option per aapko chale Jana hoga search wale option mein jakar page curl likhkar aap search kijiega aapke samne Jo effect aaega use per effect ko aapko click karna hai standard setting wale option per click kar dijiyega.
Ab aapko key frame ke plus icon per click karna hoga abhi aap first wala Jo option hai usko bada kr aap 100% kar dijiyega uske bad aapko Apne video ke ending mein Jana hoga wapas se keyframe plus ke icon per click kijiega ab wapas se isko zero percent kar dijiyega final doston aapka Jo video hai ready ho jaega to doston is tarah se aap bahut hi aasan step ko follow karke aap is tarah ka video aap banaa sakte ho.