- How to make sky change video
- How to make sky sunset background video
- How to make sky birds fly video
- Sky replace video editing
- Water reflect video editing
- Instagram reels video editing
- Reels video editing
- Vn video editing
- Vn video editor
- Reels tutorials
Dosto aaj main aapko Sky sunset effect & sky birds fly video edit karke dikhane wala hun jaisa upar wale video mein hai.
HOW TO SHOT
Is tarah ka video edit karne ke liye aapko kisi unche jagah per jakar sky ke samne baith kar ek video ko shoot karna hoga jaisa maine niche Wale video mein dikhaya hai.
HOW TO EDIT
Video ko edit karne ke liye aapko VN video editor app ko open karna hoga agar aapke phone mein VN video editor app pahle se install Hai to acchi baat hai varna aapko is post per link mil jaega.
Aapko vn app ke andar apna recording Kiya hua video ko select karna hoga video select kar lene ke bad ab video ke per ladki ko add karna hai uske liye aapko add sticker and PiP wale option per click karna hoga video and photo wale option mein jakar aap ladki ke photo ke PNG per select kar lijiyega ladki ke photo ka png ka link aapko is post per mil jaega aap load kar lijiyega.
Abhi ladki ke photo ko aapke Bagal mein baithana hoga baithane ke liye aapko mask wale option per jakar liner per click karke aap acche se baitha dijiyega jaisa upar wale photo mein hai.
Is prakar se aapka step 1 ka kam complete ho chuka hai ab aapko share per click karke apna video ko save kar lijiyega.
Agle Step mein aapko wapas se VN app ko open karna hoga Plus ke icon per click karke Jo video aapane banaya hai use Wale video ko aap add kar lijiyega video add Ho jaane ke bad aapko add sticker and PIP wale option per click karna hoga abhi aapko sky sunset video ko add karna hai video ka link aapko is post per mil jaega aap video ko load kar lijiyega.
Ab aap sunset video ko upar jaisa photo mein Hai is tarah se aap adjust kar lijiyega mask wale option per jakar.
Adjust ho jaane ke bad ab aapko apne video per click karna hoga apna video ka ek duplicate banaa dijiyega jisko forward per click karke upar layer per aapko le aana hoga laane ke bad aap fill per click karke video ko full screen mein adjust kar lena hoga ab sathiyon filter wala option mein jaiega adjust ko click kijiega contrast +100, Brightness -100 aur saturation -100 ab aapko blending wale option mein jakar hard light ko select kar dena hoga finally aapka Jo video hai ready ho jaega.