Doston aaj main aapko kinemaster ki madad se train accident video edit karke dikhane wala hun jaisa upar wale video mein hai.
HOW TO SHOOT
Aisa video edit karne ke liye aapko do parton mein Apna video ko shoot karna hoga sabse pahle aap apni Phone ko tripod per Mount karke Maine jaisa niche video mein dikhaya hai ab do parton mein Apna video ko shoot kar lijiyega.
HOW TO EDIT
Video ko edit karne ke liye aapko kinemaster app ko open karna hoga agar aapke phone mein kinemaster app pahle se install hai To acchi baat hai Varna aapko is post per link mil jaega aap load kar lijiyega.
Abhi aapko kinemaster app ke andar Apna first recording Kiya hua video ko select karna hoga.
First video ko select kar lene ke bad aapko video ko play karna hoga aur video mein Jahan per Banda dhakel Ke piche jhatkane ke acting kar raha hai use jagah per jakar aapko box per click karke use jagah ka ek photo capture kar lijiyega sath hi mein video per click karke aapko kainchi wale option per jakar split aapko kar lena hoga.
Ab aapane jis paath ko split kiya hai use wale part per click karke three dot per click karke aap duplicate as layer aap kar lijiyega.
ab aapko media wale option per click karke Apna second recording Kiya vah video ko select kar raha hoga.
Video ko select karne ke bad aapko video mein speed wale apps mein jakar video ko 2x kar dijiyega isase aapka Jo train wala video fast mein move hoga.
ab aapko aapane jo duplicate banaya hai use wale part ko click karna hoga right side mein aapko magic remover ko option dikhega jis per click karke aapko background ko remove kar lena hoga aur jo second Banda hai usko aap yahan per crop kar lijiyega finally aapka Jo video hai ready ho jaega.