Doston aaj main aapko are re are yeh kya hua reels video editing karke dikhane wala hun jaisa upar wale video mein hai.
REQUIRED
Doston aisa video edit karne ke liye aapko kuch photos ka jarurat padega.
HOW TO EDIT
Video ko edit karne ke liye aapko PicsArt app ko open karna hoga agar aapke phone mein PicsArt app pahle se install hai to acchi baat hai Varna aapko is post per link mil jaega aap load kar lijiyega.
Ab aapko PicsArt app ko open karke plus ke icon pe click karna hai apke samne edit a collage ka option ayega apko us par click karke apna 4 photo lo select karna hai aur next par click kar dena hai aur frame ko box karke ratio ko 9:16 kar lijayega.
Ab photo ko ek bar save karna hai.Save ho jane ke bad apko is photo ko chhod kar baki photo ka opcity 0 kar dijiyega. Abhi jo photo bacha usko adjust main ja kar saturation ko 0 karke black and white karke save kar lijayega.Is prakar se apne sare photo ko kar lena hai
Abhi aapko kinemaster app ko open karna padega agar aapke phone mein kinemaster app pehle se install hai to acchi baat hai Varna aapko link niche mil jaega.
Ab aapko kinemaster app ke andar apna first photo ko select karna hai aur photo ka jo duration hai andaaje mein aap badha lijiyega.
Ab aapko is post per click kar raha hoga Jahan per aapko background video ka link milega aapko background video ko load karke add karna hai add karne ke liye doston aapko layer per click karna hoga media wale option per jakar aapko background video ko add kar lena hai.
Ab aapko background video ke hisab se apna adjustment karna hoga yani background video mein जहां-जहां per photo change ho raha hai aapke photo per click karke aapko split karna hoga split karne ke bad aapka aur second photo dikhta Hai use jagah per jakar aapko apna second photo ka replace kar dena hoga jis hisab se aapka background video adjust Hua Hai sem tu sem aapko usi prakar se kar lena hoga finally aapka Jo video ready ho jaega.