Aaj main aapko sharir se atma nikaalne wala video edit karke dikhane wala hun jaisa upar wale video mein hai.
HOW TO SHOT
Doston aisa video edit karne ke liye aapko maine niche jaisa video mein dikhaya hai waise shoot kar lijiyega.
HOW TO EDIT
Video ko edit karne ke liye aapko kinemaster app ko open karna hai agar aapke phone mein kinemaster app pehle se install hai to acchi baat hai Varna aapko link niche mil jaega.
Abhi aapko kinemaster ke andar apna recording Kiya hua video ko select karna hai.
Video select karne ke baad apko is post per background video ka link milega aapko background video ko load karke add kar lijiyega.
Background video ko load karne ke liye aapko layer per click karna hoga media wale option per jakar aap background video ko add kar lijiyega.
Ab aapka sunset Wale video ko Apne sky ke upar adjust karna hoga adjust kar lene ke bad aapko Apne video ka ek duplicate banana hoga uske liye aapko three dot per click karke duplicate kar lijiyega aur video ko aapko split screen ke option per click karke ful screen mein kar lena hai.
Ab aapko video ka background yani sky ko aapko remove karna hai uske liye doston aapko komaki wala option mein jakar video ka sky aap remove kar lijiyega.
Doston aapko thundering effect dalna hai uske liye aapko sticker wale option mein jakar store ko open karke special effect ke andar thundering effect mil jaega jisko aapko Apne video ke andar add kar lena hoga.
Ab doston apna video ko aapko play karna hai aur video mein Jahan per aap na hath ko khinchne ki aap video dalna chahte ho use jagah per aapko chale Jana hoga.
Aapko is post per hand ka girna skin Wale video ka link milega aapko video ko load karke add kar lena hoga.
Ab jis jagah per aap khade ho use jagah ka aapko ek left side mein jo box hai use per click karke capture and seble option mein jakar photo capture kar.
Capture kiye photo ko aapko layer per click karke media mein jakar usi jagah se aapko add karna hai aur video ka sorry photo ka background ko aapko remove kar lena hoga aur ki frame ke madhyam se aap adjust kar lijiyega finally aapka Jo video hai ready ho jaega.